13/01/2026
Aaj kal Himachal ma trending mudda apple import duty . Jo 1000 box sa lower wala farmer hai merko nhi lagta ki 1%bhi hoga jinhone store kiya hoga.saare big grower hai.. sarkaar unka liya roo rhi jab saab ka season peak ma tha tab toh sarkaar local market ma rate down hone pa bhi chup rhi lakin aaj store ka saab ka liya lad rhi only for big players.
Farmers bhiyoo ye sarkaar hamara liya nhi bda rhi import ye sirf kuch big players ka liye lad rhi hai.
Is saal tum 500%bhi tariff laga doge ,lakin agli saal kya karoge .
winter totally khatam ho chuki hai himachal ma..
Ak time tha jab winters ma itni zydaa snow dekhna ko milti thi lekin aaj 1 boond paani ka liya tarasna par rha hai.ye koi change nhi hai weather ma. Only high level of pollution in himachal .
aaj 1 bhi politician Climate change pa baat kyu nhi kr rha...aaj himachal itna zydaa polluted ho chuka hai ki saans lena bhi mushkil ho gaya hai. AQI LEVEL 200+ho chuka hai himachal ma. Aaj kaha gaye wo neta jo janta ka bare ma sochte hai..
Jaag jao farmers aaj bhi time hai ye sarkaar sirf apna bare ma soch rhi hai..