चुप्पी तोड़ो अधिकार मांगो

  • Home
  • India
  • Nagpur
  • चुप्पी तोड़ो अधिकार मांगो

चुप्पी तोड़ो अधिकार मांगो चुप्पी तोड़ो अधिकार मांगो
join our national campaign
for change problems again disability. A Campaign By
ARMAAN FOUNDATION

Viklang jano ko aaraksh*t bogi di gayi hai Jo ki samne hoti hai ya engine ke paas luggage bogi ke pass. Govt ne ticket me bhi concession di hai jisme hum govt ka aur railway prashan ka sukriya ada karte hai. Viklang vyakti ko viklang bogi tak pahochne me kai taklifo ka saamna karna padta hai
Kbhi kbhi to aisa bhi hota ki viklang bogi ko dekhte hue last me pahocho to pata chalta hai vo pehle hai ti

is wajha se viklang vyakti ko doguna chlana padta hai agar vaha wheel chair,battery car na ho to. Viklang aaraksh*t bogi ko center me laya jaye taaki viklang vyakti ko jyada chalna na pade aur aaram se viklang bogi tak pahoch sake
Aur viklang bogi se utar kar bhi aaram se bahar nikal sake. Chuppi Todo Adhikaar maango
Is muhim ke tahat hum kuch badlav ki aasha rakhte hai.taaki sharirik durbal hamare bhai bahen ko kisi pareshani na jhujhna pade aur unka safar suraksh*t aur sukhmay ho.
1-Ticket counter
Viklang vyakti ke liye alag se ticket counter ho jiski uchai jyada na ho taaki viklang vyakti aaram se bina bheed ke aur suraksh*t tarike se ticket le sake.
2-traveling asset
Har railway station par battery Car,wheelchair escalator aur lift ki suvidha ho
Taki agar platform dur ho to in sabke zariye pahoch sake.
3-Viklang aaraksh*t bogi
Viklang aarakshhit bogi ko beech me lagaya jaye. Viklang aaraksh*t bogi ke rang me badlav kiya jaye taki vo sabhi ko pehchan me aaye aur dhundne me pareshani na ho. Viklang aaraksh*t bogi ko kuch is tarha se design kiya jaye ki viklang vyakti agar jyada taklif me ho to wheelchair ke sath andar ja sake. Viklang aaraksh*t bogi ki jagha badaya jaye. Viklang aaraksh*t bogi ke bathroom ko viklaang jan ke hisab se banaya jaye .
4-Security
Har railway station par viklang bogi me jakar cheking kiya jaye
Koi annya vyakti viklang bogi me na baithe is baat ka dhyan rakha jaye. Hum chahte hai ye sari suvidha poore bharatvas se ho har railway station par chahe gao ho ya seher har jagha gunje har viklang vyakti ke chere khushi ki lehar.

Address

Nagpur
440008

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when चुप्पी तोड़ो अधिकार मांगो posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Organization

Send a message to चुप्पी तोड़ो अधिकार मांगो:

Share