01/01/2026
Fesubagan Qabrastan Committee ki jaanib se tamaam ahle-ilaaqah ko adab ke saath ittila di ja rahi hai ke
Allah Ta’ala ke fazl o karam aur awaam ke ta’awun se 31 tareekh ki raat qabrastan mein 10 gaadi mitti girayi gayi,
jiska kharcha ₹5500 rupaye fi gaadi raha.
Isi silsile ko aage badhate hue,
1 tareekh ki raat qabrastan mein mazeed 23 gaadi mitti girayi gayi,
taake qabrastan ki zameen ko hamwaar aur behtar banaya ja sake
aur mustaqbil mein kisi bhi qisam ki pareshani pesh na aaye.
Is aham aur falahi kaam mein Champdani ke tamaam bhaiyon ne jis ikhlaas aur jazba-e-khidmat ke saath ta’awun diya,
Fesubagan Qabrastan Committee un sab ka dil ki gehraiyon se shukriya ada karti hai.
Hum Allah Ta’ala ki baaragah mein dua go hain ke
woh aap sab ki is nek koshish ko qubool farmaye
aur iska ajr o sawaab aap ke walidain aur marhoomeen tak pohchaye. Aameen.
Aakhir mein Fesubagan Qabrastan Committee
ek baar phir tamaam ahle-ilaaqah ka teh-dil se shukriya ada karti hai
jo qabrastan ke kaamon mein musalsal ta’awun farma rahe hain.
JazakAllahu khair.
Fesubagan Qabrastan Committee
Secretary – Sohail Loha Wala (Makbul Alam)”