05/07/2018
Hazrat Khwaja Abul Hasan Yameen-ud-deen Ameer Khusro rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Malik-us-Sho'ara (Master of poets), Tootti e Hind (Parrot of India).
*****************
Aap ki wilaadat 651 Hijri (1253 A.D.) me Patiyali (Uttar Pradesh) me hui.
Aap ke waalid ka naam Ameer Saif-ud-deen Mahmood aur waalida ka naam Bibi Daulat Naaz binte Nawaab Imaad-ul-Mulk (Rawat Arz) hai.
Aap Turkstan ke Lachin qabeele se ta’alluq rakhte hain.
*************
Changiz Khan Mongol ke hamle ke dauraan Aap ke waalid apne watan (Samarqand ke qareeb) Kesh se Balkh (Afghanistan) aa gaye aur Hazara qabeele ke sardaar bane.
Phir 627 Hijri (1230 A.D.) me wo Shams-ud-deen Altamish ki daawat par Delhi aaye. Sultaan ne un ko Patiyali ki jaagir ata ki.
*******************
Aap ki umr jab 8 saal ki thi tab Aap ke waalid Aap ko apne saath Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya ki baargaah me le gaye. Magar aap ne kaha ‘Main apna Peer khud chunuga.’ Ye sunkar Aap ke waalid akele hi andar gaye.
Aap ne darwaaze par khade hokar ek faarsi sher likha :
‘To aan shaahe ke bur aiwaan-e-qasrat
Kabootar gar nashinad baaz gardaad.
Ghareeb-e-mustamande bur dar aamad,
Beyayad androon yaa baaz gardaad.’
Tarjuma :
Aap aisi buland shaan waale baadshaah hain ke
Aap ke mahel ki chhat par agar kabootar baithe to wo baaz ban jaaye.
Ye ghareeb aajiz aap ke dar par aaya hai,
Kya wo andar daakhil ho sakta hai ya door chala jaaye.
Aur wahi intazaar karne lage. Chand hi lamho me Khwaja Nizaam-ud-deen ne apne khaadim ko bheja aur farmaaya ki ‘Baahar ek Turk bachcha baitha hai use yeh sher suna do:
Beyayad androon mard-e-haqeeqat,
Ke baa maa yak nafas hamraaz gardaad.
Agar ablay buwad aan mard-e-naadaan,
Azaan raahe ke aamad baaz gardaad.’
Tarjuma :
Agar tum mard-e-haqeeqat ho to anadr aa jaao,
Ke hum aapaas me qareeb hokar humraaz ban jaayen.
Aur agar mard-e-naadaan ho to,
Andar daakhil hone ke bajaay door chale jaao.’
Ye mukammal jawaab sunkar aap foran andar aa gaye aur Khwaja ke mureed ban gaye aur puri zindagi ba-adab mukammal tareeqe se peer ki khidmat karte rahe.
*****************
658 Hijri (1260 A.D.) me aap ke waalid ke inteqaal ke baad aap apni waalida ke saath Delhi aa gaye.
Aap ke naana Rajput qabile se the aur Sultan Balban ke lashkar ke saalaar the.
Unho ne aap ki parwarish aur taalim ki.
669 Hijri (1271 A.D.) me aap ne ‘Tuhfat-us-Sighr’ naam se apna pehle Diwaan likha.
Isi saal aap ke Aap ke naana ka inteqaal hua. Is ke baad Aap ki waalid aur aap ke bhai ne Aap ki ta’aleem jaari rakhi.
670 Hijri (1272 A.D.) Sultaan balban ke bhatije Malik Chhajju Kishli Khan ne Aap ko apne darbaar me Shaayar ka ohada ata kiya.
683 Hijri (1285 A.D) me Aap Jinar Khan Mongol ke hamle ke khilaaf lashkar me saamil hue. Aap ko Mongol lashkar ne qaid kar liya magar Aap bachkar bhaagne me kaamyaab hue.
698 Hijri me (1298 A.D.) Aap ki waalida aur Aap ke bhai Husaam-ud-deen ka inteqaal hua.
Aap ne Delhi saltanat ke 7 Khilji aur Tughluq Sultaano ka zamaana paaya.
******************
Aap ne 8 saal ki umr me najam likhna shuru kiya.
Aap Faarsi, Hindi, Punjabi, Awadhi, Sanskrit, Turki aur Arbai zabaan ke maahir the.
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Tuhfat-us-Sighr (1271 A.D.)
(2) Wast-ul-Hayaat
(3) Ghurratul-Kamaal
(4) Baqia-Naqia
(5) Qissa Chahar Darvesh
(6) Nihaayatul-Kamaal
(7) Qiraan-us-Sa’dain (Masnavi - Bughra Khan aur us ke bete Kyqbad Tawaarikhi mulaaqat ka bayaan) (1289)
(8) Miftah-ul-Futooh (Jalaal-ud-deen Firoz Khilji ki fateh ka bayaan) (1291)
(9) Ishqia (Masnavi Duval Rani-Khizr Khan) (1316)
(10) Noh Sepehr Mathnavi (1318)
(11) Taarikh-e-Alai (Ala-ud-deen Khilji ki taarikh)
(12) Tughluq Nama (1320)
(13) Khamsa-e-Nizaami (Khamsa-e-Khusrau) (5 Aashiqana kahaaniya : Hasht-Bahisht, Matlaul-Anwar, Sheerin-Khusrau, Majnoon-Laila aur Aa'ina-Sikandari)
(14) Ejaaz-e-Khusrovi
(15) Khaza'in-ul-Futooh
(16) Afzal-ul-Fawa'id (Malfuzaat e Nizaam-ud-deen Auliya)
(17) Khaaliq Baari
(18) Jawaahar-e-Khusrowi.
♦ Kashmir ke liye Aap ka likha hua sher mash'hoor hai :
Agar firdaus bar roo e zameen ast,
Hameen ast o hameen ast o hameen ast.
(Agar zameen par kahi Jannat hai,
To yahin hai yahin hai yahin hain.)
*******************
Aap namaaz e Tahajjud me 7 paare tilaawat karte Aur baargaah e ilāhi bahot zyada rote the.
Shaahi mulaazamat ke bawajood Aap ne 40 saal tak pure saal ke roze rakhe (Siwa e 5 Din ke jin me roza rakhna mana hai).
*******************
Aap ka 1 beta : Malik Muhammad aur 1 beti : Afeefa.
*********************
Aap Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap apne Peer se be-inteha mohabbat karte the aur Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi alaihi bhi Aap se be-had mohabbat karte the. Aap Khwaja ke bahot hi qareebi dost the aur khwaja aap ko apna humraaz maante the.
Khwaja ne farmaaya tha ke ‘Agar koi meri gardan par aari rakhe aur Ameer Khusro ko mujh se maange to main us ki parwah na karu magar Khusro ko na du.’
Ek din Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi alaihi ki baargaah me ek shakhs aaya aur arz kiya ‘Meri 7 betiya hain. Main bahot door se aap ki shohrat sunkar aaya hu. Aap mujhe kuchh inaayat farmaie taake main apni betiyo ki parwarish karke un ka haq ada kar saku.’
Ittifaaq se us din khaanqaah me koi cheez nahi thi. Hazrat ne apni jootiya us shakhs ko de di. Wo shakhs badi ummide lekar aaya tha chunanche maayoos hokar waha se rawaana hua. Raaste me wo ek saraae me thehra.
Hazrat Ameer Khusro bhi bahot se saamaan ke saath Delhi jaa rahe the aur usi saraae me thehre. Achaanak us saraay me Aap ko apne Peer o murshid ki khushboo aai. Aap ne saraae me talaash kiya ke Delhi se kaun aaya hai? Jab us shakhs se mulaaqat hui aur us ne kaha ke ‘Main Delhi se aaya hu.’ tab Aap ne puchha ke ‘Mere Peer o murshid Hazrat Nizaam-ud-deen Auliya ki baargaah me haazir hua tha?’ Us ne kaha ‘Haan, Gaya tha. Unho ne mujhe apni jootiya di hai.’
Us shakhs se tamaam baat jaankar Aap ne farmaaya ‘Ye mubarak jootiya mujhe de do aur badle me mera saara maal o saamaan le lo.’ Us ne kaha ‘Hazrat mujh se kyun mazzaaq karte hain.’ Aap ne farmaaya ‘Main sach kehta hu.’ Us shakhs ne jooti mubarak Aap ke hawaale ki aur badle me Aap ne apna saara maal saamaan use de diya. Aap ne wo jooti mubarak apne amaame me lapet kar sar par baandh li aur aalam e wajd me Delhi ki taraf rawaana hue aur Hazrat Nizaam-ud-deen Auliya ki baargaah me haazir hue.
*******************
18 Rabi’ us saani 725 Hijri (3 April 1325 A.D.) ko Hazrat Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi alaihi ke wisaal ke waqt Aap Sultaan Ghiyas-ud-deen Tughluq ke saath Lakhnawati (Bengal) me the. Jab Aap ko khabar mili to Aap bahot ranjeeda hokar foran Delhi ke liye rawaana hue. Raaste me Aap apna maal ghareebo aur mohtaajo ko khairaat karte rahe. Jab Aap apne peer ke mazaar par pahunche to aankho me aansoo ke saath kehne lage ‘Ye sab dunya ka maal mere liye kis kaam ka agar ye mujhe mere peer se mila na sake. Un ke baghair meri zindagi bekaar hai.’
Is ke baad Aap Hazrat Khwaja Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi alaihi ke mazaar par hi zyada waqt guzaarne lage.
Aur peer ke wisaal ke 6 mahine baad Aap bhi inteqaal farma gaye.
*****************
Aap ka wisaal 18 Shawwaal 725 Hijri (September 1325 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Delhi me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Ameer Khusro rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.